Saturday, 18 August 2012

ALWIDA MAH E RAMZAN


ALWIDA MAH E RAMZAN


Qalb-e-Aashiq Hain Ab Para Para,
Alwada Alwada Mahe Ramazan.

Tere Aaney Se Dil Khush Huwa Tha,
Aur Zoak-e-Ibadat Badha Tha,
Aahh Ab Dil Pe Hain Ghum Ka Galba,
Alwada Alwada Mahe-e-Ramazan.

Naikiyan Kuch Na Hum Kar Sakain Hain,
Aah Issiya He Main Din Katain Hain,
Haaye Gaflat Main Tujh Ko Guzara,
Alwada Alwada Mah-e-Ramzan.

Jab Guzar Jayenge Mah Giyara,
Teri Aamad Ka Aamad ka Phir Shoor Hoga,
Kiya Meri Zindagi Ka Bharosa,
Alwada Alwada Mah-e-Ramzan.

Bazm Iftar Sajti Thi Thi Kaisi,
Khoob Sehri Ki Ronak Bhi Hotee,
Sab Sama Hogaya Suna Suna,
Alwada Alwada Mah-e-Ramzan.

Yaad Ramzan Ki Tarpa Rahee Hai,
Aansoo Ki Jarhee Lag Gayee Hain,
Keh Raha Hai Har Aik Qatra,
Alwada Alwada Mah-e-Ramzan.

Saal-e-Ainda Shah-e-Haram Tum,
Karna Hum Sub Par Yeh Karam Tum,
Tum Madiney Mai Ramadan Dikhana,
Tum Madiney Mai Ramadan Dikhana,(AAMEEN)
Alwada Alwada Mah-e-Ramadan.

Waasta Tujh Ko Meethey Nabi Ka,
Hashr Mai Humko Mat Bhool Jana,
Roz-e-Mehshar Humain Bukhshwana,
Roz-e-Mehshar Humain Bukhshwana,(AAMEEN)
Alwada Alwada Mah-e-Ramadan.

Tum Pe Lakhoo Salam Mah-e-Ramzan,
Tum Pe Lakhoo Salam Mah-e-Gufran,
Jao Hafiz Khuda Ab Tumhara,
Alwada Alwada Mah-e-Ramadan.
ALWADA ALWADA MAHE-E-RAMZAN,
ALWADA ALWADA MAHE-E-RAMZAN

TABARRUKAT




























Monday, 13 August 2012

MUST WATCH













DIOBANDION KI MUNAFQAT











ALERT


Twitter Delicious Facebook Digg Stumbleupon Favorites More

 
Design by Free WordPress Themes | Bloggerized by Lasantha - Premium Blogger Themes | Bluehost Coupons